Gulf countries — Saudi Arabia, UAE, Qatar, Kuwait, Oman, Bahrain — me har saal hazaron Pakistani safety officer ki naukri ke liye jate hain. Construction sites, oil refineries, factories aur bade projects par safety officer ki demand hamesha rehti hai, kyun ke wahan safety rules par sakhti se amal hota hai. Lekin bohot se log sirf is liye reject ho jate hain ke un ke paas sahi certificate nahi hota, ya woh tayyari ke baghair apply kar dete hain. Is guide me wohi bataya gaya hai jo asal me kaam ata hai: konsi qualification chahiye, konsa certificate zaruri hai, aur tayyari kaise karein.
Samajh na aye to WhatsApp par pooch lein: 0348 8850059
Safety officer ka kaam ye hai ke kaam ki jagah par koi hadsa na ho. Woh roz site par ghoom kar check karta hai ke workers helmet, gloves aur safety belt pehen rahe hain ya nahi, machines theek hain ya nahi, aur koi khatarnak kaam baghair ijazat ke to nahi ho raha. Koi risk nazar aye to woh foran report karta hai aur use rokne ka tareeqa batata hai. Aasan lafzon me: safety officer workers ki zindagi ka zimmedar hota hai.
Is liye Gulf ki companies is post par aise log chahte hain jo sirf certificate rakhte hon, balki safety rules ko samajhte bhi hon aur site par un par amal bhi kara sakte hon.
Gulf me safety officer ki naukri ke liye ye cheezein sab se zyada mangi jati hain:
Ek aur baat yaad rakhein: certificate hamesha asal aur tasdeeq-shuda (verifiable) hona chahiye. Fake certificate se naukri to milti nahi, balki Gulf me pakde jane par band bhi lag sakta hai.
Gulf ki site par workers mukhtalif mulkon se hote hain — Pakistan, India, Bangladesh, Nepal, Philippines. Un sab se baat cheet English me hoti hai. Is liye safety officer ko achi spoken English ana lazmi hai: safety briefing dena, report likhna aur manager ko samjhana — ye sab English me hota hai.
NEBOSH aur OSHA jaisi safety training se pehle bunyadi safety concepts seekhna sab se behtar shuruwaat hai. CMTI par safety aur professional skills ke mukammal video courses Urdu aur Hindi me mojood hain — tamam courses yahan dekhein aur apni tayyari aaj se shuru karein. Account free hai, har course ki sirf ek dafa admission Rs 1,000 hai, koi monthly fee nahi.
Sawal hai to WhatsApp par pooch lein — hum aap ko sahi course aur sahi tayyari ki taraf rehnumai karenge.
Create your free CMTI account and start any course with a one-time admission of just Rs 1,000 — full video lectures in Urdu & Hindi, weekly quizzes and a verified certificate.
Browse All Courses Chat on WhatsApp